Monday, August 23, 2010

history of the Suraj kund of Varanasi

Friends, mai abhishek aaj le aaya hu Suraj kund ke itihas ko. jaisa maine apko bola tha ki mai bahot jaldi lautunga but thori si der ho gayi, jiske liye mai aap se kshma mangata hu. is history ko dhundhane me Mr. Rajeev Gandhi ne aur aap tak pohuchane me meri madad ki mere mitra Pramit ne. I'm very thankful to them.To lijiye pariye suraj kund ke itihas ko.(maine aur pramit ne is blog me kuch hindi shlok bhi dale hai, agar unhe parnhe me aasuvidha ho to kshama kare).Hum ye itihas le kar aaye hai "SHRI KASHI KHAND" se. Hame ummeed hai ki apko ye pasand payega aur aap ki pratikriyane zaroor aayengi.



Surajkund

Skanndo me Surajkund ka varnan kuchh is prakar hai:-

Dwarikapuri me bhagwan Krishn ke assi lakh putra utpan huwe the. Ek bar Narad muni un putro ko dekhne k liye Dwarikapuri gye. ||1-8||
Sabhi putro ne Dev Rishi Narad ko dekhte hi bade vinamrta se jhook kar mastak par anjali bandh pranam kiya. ||9||
Un sab me apne roop-sondarya ke abhiman se mohit hokar ek Samb ne Narad ke roop-sampati ka uphas karke pranam nahi kiya.||10||
Muniraj Narad ne bhi Samb ke abhipray ko samaj kar Krasn ke paramgamya mandir me chale gaye.||11||
Bhagwan Krasn ne Narad ko ate dekh agwani ki or unki puja archna kar ke apne sinhasan par baithaya.||12||
Unke sath anek prakar ke vartalap hone ke paschat jab Narad ne dekha ki is samay bhgwan ke samip or koi bhi nahi hai, tab (dhire se) unke kan me Samb ki chesta ko kah sunaya.||13||
Narad ne kaha-
‘Hey Yashoda ke anandvardhak! Yaddhapi is bat ki koi Sambawna nahi hai; parantu Samb ka charitra or roop-sondarya dekhne se yahi pratit hota hai ki yaha par it striyo kid harm rakcha honi badi hi kathin hai; kyoki strtiya kya nahi kar dalti hai? “ka nahi abla kari sake,ka nahi sindhu samay”||14||
(Isme koi ascharya ki bat nahi hai; kyoki) Samb trilok ke samast yuvako ki apechha atyant sundar roopwan hai or swabhawath in chanchal-nayanio ki manovriti bhi bahut chanchal hoti hai.||15||
Ye sab sundar netra vali striya Kol, Shil, Vidya or Dhan ki tanik bhi parwah nahi karti hai, Kaam se mohit hokar keval roop hi chahti hai.||16||
(Bahoot kya kahe) kya aapko Gopiyo ki chesta gyat nahi hai? Hey Krisn! Aaoki atho(eight) pat-ranio ko chod kar sabhi striya Samb ke roop par mohit rahti hai.||17||
Is prakar se Narad ke kathan or striyo ke chanchal swabhaw ko samajh kar Krisn ne (is bat ko) satya man liya.||18||
Jab tak apne preemabhilasi poros(iw#Ô) ke sath ekant sthan par milan nahi hota,tabhi tak man me dhairya or vivek ki bodhhi rahti hai; paranto nirjan(akele me)prarthi ke mil jane par dusra kuch nahi ho sakta hai||19||
Bhagwan Krisn ne is prakar ke kathan ko sun kar vivek rupi setu se krodh rupi nadi ke prabal veg ko rok kar Narad ko vida kiya.||20||
Us Devrishi ke chale jane ke par Krisn, rat-din anusandhan lagate rhne ke bad bhi Samb ka koi bhi dosh nahi dekh sake.||21||
Kuch din bit jane par Narad muni fir Dwarika me aye or yah jan kar ki Krisn striyo ke sath krida kar rahe hai, bahar khelte huwe Samb ko bolakar yah kahne lage-“abhi Krisn ke pass jao or mera aagman unse kah do.”||22-23||
(yah sun kar) Samb bhi sochne lage ki ‘jaon ya na jaon’- striyo ko sang me lekar ekant me virajman pita ke pas kaise jaon.||24||
Or is jalte huwe angar ke saman param brahmchari ke kathano ka paalan kaise na karo?||25||
(kyo ki) pahle hi jab yah ek bar aaye the or samast yadav-kumaro ne inhe pranaam kiya tha, to maine (inko prnaam na karke)bahot lajjit kiya tha or is awsar par bhi yadi mai in mahaamuni ke kahne se naa jaonga,to in doni apraadho ko dekh yah mera bada bhari anist kar denge. (is samay pita ke pas jane se unke krodh karne ki vishesh aashanka hai; paranto) pita ka krodh bhi shlaghniya('ykÄuh;) hai; kintu muj par bramhan ka kop karna bhi accha nahi hai||26-27||
Kyoki jin par bramhan ka krodh hota hai we fir kabhi ankoorit nahi ho sakte hai; parantu dusre agni se jale huwe kabhi-kabhi daawaanal ke dagdh-van ke aise ankoor fakte hai-
“bUnz dqfy’k ee ’kwy fo’kkykA czEg n.M gfjpdz djkykAA
budj ekjk tks ufga ejbZA foiz dksi ikod lks tjbZ”AA ||28||
is bhanti soch-vichar karte huwe Samb pita ke pas gaye or jaise hi striyo ke bich virajman Krisn Bhagwan ko door se hi pranam kar Narad ke aane ki bat batane lage, usi samay Narad bhi apna kary siddh karne ke liye piche-piche wahaa par pahuch gye ||29-30||
Krisn bhi Samb or Narad ko (ate huwe) dekhkar ghabrahat ke sath apne pitambar ko pahnte huwe uth kar khade ho gye ||31||
Devkinandan(Krisn) ke uth kar khade ho jane par ve sab nayikaye bhi atyant lajjit ho kar apna-apna kapda leti huwi uth khadi huwi ||32||
Iske paschat Krisn ne (aadar ke sath) Narad ka hath pakad kar (apne) bahumulya shaiya par baithaya. (Yah dekh kar) Samb bhi apne krida sthan par chale gaye. ||33||
Isi par Narad, un sab striyo ke Krisn ki lila se dravibhot yonio ke skhalit roop ko dekh kar Krisn se kahne lage. ||34||
Hey mahaamate! Dekhiye-dekhiye, ye sab striya Samb ko dekhte hi unke roop se choobdh-hridaya({kqC/kân;k)hokar skhalit bhaw ko prapt ho gayi hai.||35||
Krisn ne bhi apne putra Samb ko bolakar, turant Shap (’kki) de diya-paranto Samb is vishaya me vastuth nirdos the; kyo ki vah un sab striyo ko Jambvati ke saman hi dekhte the.||36||
(Krisn ne Samb ko yah shap diya) tumhara roop dekh kar ye sab striya vichlit bhav ko prapt ho gayi or tum bina avsar ke chale aaye. Isliye abhi Kusthi(dq"Bh) ho jao.||37||
Samb iske karan dar se kampte huwe apne apraadh ki shanti ke liye Krisn ki bar-bar stuti karne lage.||38||
Krisn ne bhi apne putra ko karm dwara nirdosh jan kar kaha ki tum kusth choodane ke liye Vishwanath ki nagari (Kashi) me chale jao.||39||
(Kyo ki) bade-bade papo ka nash Varanasi ko chod kar kisi dosre sthan par nahi ho sakta.ataiv vahaa ja kar Bhagwan Surya Narayan ki samyak prakar araadhna karne se apne prakrat roop ka laabh karoge.||40||
Jin-jin mahaapaapo ke se uddhar hone ke upaay munio ko bhi nahi sujhai pade, un sabki vishuddhi bhi jahaan Bhagwan Shiv tatha Maa Ganga virajmaan hai, usi Varanasi me pahuchte hi ho jati hai.||41||
(yah karan hai ki) Varanasi me keval apne kiye huwe papo se hi chotkara nahi hota, balki Mahadev ki agya se prakriti-janit papo se bhi uddhar ho jata hai.||42||
Purv kal me Bhagwan Tripurari(shiv) ne antavsta me sharir tyag karne wale samast jantuwo ko mokch pane ke liye badi kripa karke varanasi ki rachna ki hai.||43||
(Ataiv) hey Samb! Usi Mahadev ke anandvan me tumhare pap ka nistar hoga- yah mai satya kahta hun. Tum wahaa chale jao. Anytha dusri riti se tumhare shap ka uddhar nahi ho sakta.||44||
In sab bato ko sun kar Narad muni kratya-kratya(happy) ho kar akash-marg se chale gaye.||45||
or Samb bhi Varanasi me chale gye or waha Mandir se paschim(west) ki or Surya dev ka kund (Surajkund) banakar suryadev ki araadhna karne lage or unhe apne kasto chutkara milgya.||46||
Tabhi se Kashi me sabke kasto ko door karne wale murti-man Surya samast bhaktjano ko vipattirahit samast sampatiya sete rahte hai.||47||
Jo manusya aditya-var ke arunoday kal (v:Æksn;dky) me (bhaktipurvak) Sambkund me snan kar Sambaditya ki pooja kare, to wah kadapi rogo(bimario) se pidit nahi hota.||48||
Un Sambadiya ke sevan karne se stri vidhwa nahi hoti or charitrwan or roopwan potra(son) ko janm deti hai.||49||
(Shastra kahta hai ki) magh-mas ke shukla pakch ki samaapti tithi ko ravivaar hone se surya-grahan ke samaan Shubh-parv ek mahaa-parv ka din jo jata hai.||50||
Us din aroonoday ki bela us Sambkund me snaan kar Sambaditya ka poojan karne se ati utkat rogo ki shanty hoti hai ewam anant ponya-labh hota hai.||51||
Surya-suhan ke samay punya-jalashay kuruchetra me snaan karne se jo punya hota hai, magh mas ke saptami tithi ko ravivaar padne se Kashi ke Surya-kund me snaan karne se bhi wahi punya praapt hota hai.||52||
Chaitra mas ke ravivaar ko Sambaditya ki varshik yatra hoti hai.us din jo koi vidhaan-purvak us kund me snaan kar ke Ashok ke fulo(Qwyksa) se poojan karta hai,wah manusya kabhi shok-sagar me nahi padta, or usi chad vars bhar ke kiye huwe papoo se bahar ho jata hai.||53-54||
Kasha dham me Visheshwar se paschim disha me mahaatmaa samb ke dwara achhi riti se araadhna ki gayi jo Surya ki murti hai, wah badi hi mangal-dayani hai.||55||
Hey agust! maine tumse yahaa hone wali Surya ki murti ka varnan kiya hai, jiske poojan karne or aath(8) bar pradachhina(iznf{kÆk) karne se manusya paap-rahit ho jata hai or (purn roop se) Kashi-vas karne ka fal pata hai.||56||
Hey Mahaamte! Yah jo Sambaditya ka maine tumse varnan kiya hai, manusya iske sunne se kabhi yamlook nahi dekh sakta.||57||

izfr jfookjfga ozr djS] lwjtd dqaM ugk;A
xzgifr dj n’kZu fd;s] dq"B d"V NqfV tk;AA1AA
pgq¡ fnfl ikÉj ls cuh] ,d xqQk ,fg BkaeA
vtgw¡ gS rksih iM+h] dhUg tgk¡ ri lke¼lkEc½AA2AA
dPps lqjt dqaM es] iwjc iDdk ?kkVA
dks< NqVs ij HkDr dksm] cuok;ks dfj pkVAA3AA
dky] dje] tx] ?kje ds] lwjt gSa xfr gsrA
nsou esa izR;PN àa] ogh izdV Qy nsrAA4AA
v|k∙fi lw;Z leqiklrs ;% izR;dZokja ozriwtuk|S%A
fugfUr rL;k·∙’kq cgwfu lkEckfnR;Lrq dq"Bkfu :tLrÉk∙U;k%AA5AA

Sunday, August 1, 2010

Namskar dosto, mai ABHISHEK fir se aa gaya hu. Surajkund ke bare me batane k liye. lekin dosto suraj kund k bare me apko batane k pahle mai apko un logo k bare me batana chahunga, jinhone iske punaruddhar ke liye kam karna shuru kiya.

ab aap soch rahe honge ki ye kaun log hai jineke bare me mai aap ko batane jaa raha hu. Dosto ye log n to rajneta hai aur n hi koi charchit hasti, balki ye log to zameen se jure hue log hai jo is bat me vishwas rakhte hai ki badlav aayega. Aur dosto sacchai bhi yahi hai ye log badlav le hi aaye. dasako tak upekshit pare hue Surajkund ko in logo ne hi bachaya verna ye to kab ka kude ke dher me tabdeel ho gaya hota. In logo k nam kuch is prakar hai,Rajeev Gandhi,Gopal krishna, Chedi lal Verma ji, Jyoti singh,,Ashok gupta, Rajan, Maneesh, Bageesh mishra(Adhyaksh,Kendriya Dev deepawali mahasameeti) Soni visvakarma, Prahlaad yadaya, Vinod kumar, sanjay yadaya(Balau), Anil kumar(Meethai), jai gupta,Pramit,Sumit,Anit,Mritunjay(Muttu swami).Dosto n keval purush hi balki mahilaye bhi isme apna badchad ke yogdan de rahi hai. Unke naam hai,Mrs.Chandravati devi, Mrs. Chedilal verma,Dr. Meena kumari, Damini singh(tanu),Shalini singh, srishti shingh,Mrs. Beena singh, Manu singh, Hemlata singh, Kajal, Shivani, aur mai kud. dosto naam to bahot hai par shayd sbke nam likne me muje bahot waqt lage.

Dosto Surajkund ka itihas lekar mai bahot jald hi wapas aaunga, tb tk ke liye, namskar.