Friday, October 22, 2010
Suraj Kund par paudha ropan
Dosto, Vijaya Dashmi Ke shubh din par Suraj kund ke kinare ban rahe path-way ke ek taraf hum sabhi ne mil kar dher sare paudhe lagaye. Ped lagane ke piche hamara uddeshya hai ki hum apne vatavaran ko fir se hara-bhara kar sake. Beethe kuch dasko me hamare vatavaran ko bahot zyada nuksan hua hai. Hum Suraj Kund ko hara bhara dekhna chahate hai. Aur na keval Vijaya Dashmi balki Surya Saptami ko bhi humne Suraj kund par ped lagaye.
Friday, October 1, 2010
Suraj kund ka vikas
dosto mai Abhishek,aaj apne is blog me mai apko suraj kund ke re-construction ke bare me batane ja raha hoon.Suraj kund ke re-construction me yahan ke local persons ne kafi mehnat kiya, aur ab unki mehnat ko dekhate hue local administration bhi ab unki help karne ki pahal ki hai.
aur ab iska swaroop pahle se kafi badal gaya hai, isake charo aor path-way ban raha hai aur un par tree bhi lagne wale hai.in sabka uddeshya keval ek hai ki na keval ye etihasic kund bacha rahe balki lagatar ghatathe hue Bhoomi jal ke level me bhi sudhar ho.
Subscribe to:
Posts (Atom)