Tuesday, September 20, 2011

Jiyutputrika Parve..







Mitron Namskar, mai is bar aapke liye lekar aaya hu.. Suraj Kund ke Itihas me ek naye mor ki kuch jhalkiyo ko... Ssmay ke saath saath jis Suraj kund ne aapne aastitv ko lagbhag kho diya tha, ab na keval wo ek naye roop me sabke samne hai balki din pratidin naye itihas ko rach raha hai. Jaise dekhiye 20-09-2011, din-Mangalwar ko, Suraj kund par Jiyutputrika Parv ko manaya gaya.

sankshipt karayakram Suraj Kund Mahotsav ke

Namskar dosto, Is baar to kuch zyada hi der ho gayi aap tak aane me, jisake liye mai aap sab se kshma mangta hu. Suraj kund Mahotsav ke sabhi karyakramo ki video to mai nahi dal sakta aapne blog par, lekin uske kuch video ke link mai aap sb ko deta hu taki aap bhi karyakramo ke peeche ki gayi mehanat ka aandaza laga paye.

Ye nritya ki jhalkiya hai bal kalakar Kumari Damini Singh ke, jinki Guru hai Ms. Mamta Tandan ji.http://www.youtube.com/watch?v=5yWNZB96K5k aur ek link hai..http://www.youtube.com/watch?v=TZJiTJFSVQg.

Agla post mai jald hi lekar aaunga tb tk ke liye Namskar Mitron..

Saturday, April 23, 2011

SURAJ KUND MAHOTSAV- AARATI















Mitron Namskar, jaisa ki aap ko malum hoga ki aaj SURAJ KUND MAHOTSAV hai aur karyakramo ki shuruaat ho chuki hai. Suryodaya ke paschat Aarati ka karykram sampann hua. Jisme sbhi bhkton aur sthaniya nagariko ne sahayog diya. jiske kuch photos mai aap sabhi ke samne prastut kar raha hu.
in photos ko lene me meri madad ki suraj kund ke punarnirman me hamara sahayog karne wale ek bhakt Mr. Pramit Kumar Chaurasiya ji aur Mr. Jugul Kishor Singh ji ne.

KARYAKRAM VIVARAN

Namskar mitro, Aayiye ab abko jankari de de kal arthath dinank 24-04-2011,RAVIWAR ko SURAJ KUND MAHOTSAV me hone wale karyakramo ki.

SURYODAY- Sarvapratham Dwimukh Vinayak Ganesh ji ka snan, pujan-archan tadoparant SRI
SAMBADITYA BHAGWAN SURYA ka panchamrit se snan, pujan, shringar, aarati.

Pratah 7:30am- Suraj Kund sthith SURYA KOOP par aarati-pujan.

Pratah 8:30am- Prasad vitaran tadoparant AADITYA HRIDAYA STHROTH ka path.

Dopahar 12:00pm- SAMBADITYA BHAGAWAN SURYA ki Bhog Aarati.

shayam 4:00pm- > Sanskritik karykram prarambh.
> Antarrastriya khyati prapt Lokgeet gayak Sri Heeralal Yadav dwara
Lokgeet gayan.
> Katthak Nrityangana Kumari Damini Singh dwara Katthak Nritya ki
parastuti.
> Shivani Chaurasiya dwara Shastriya Gayan.
> Kumari Ragini Sarana dwara Shastriya Gayan.
> Kumari Mauli Aaroro dwar Bhajan Gayan.
> Anil Anant dwara Gayan.
> Samuh Nritya (Kumari Tripti Chaurasiya, Kumari Aakanksha Chaurasiya,
Kumari Pooja Chaurasiya,Kumari Ragini Tiwari, Kuamari Suman,
Kumari Sonali dwara).
> Preetam (Tabla), Abhishek (Sitar), Aanand(Harmoniyam).
> Ganga Bhakto aur Jal Sararakshankartao ka samman samaroh.

Friday, April 22, 2011

SURAJ KUND MAHOTSAV


24 April,2011, vaishakh krisha saptami(Bhaanu Saptami), Raviwar, Sham 4:00 baje se

Place- SURAJ KUND, PURANA PAN DARIBA( NAI SARAK-AURANGABAD MARG) VARANASI.

Kendriya Dev-Deepawali Mahasamiti dwara jal sararakshndatao, Ganga bhakto ka smman samaroh aur Sanskritik Karyakram.

Mitro, Pavitra Kashi nagari ke madhya me stith pauranik, aur dharmik mahatva k Bhagwan Surya( SMABADITYA ) ke darshan aur kund me snaan ka SHRI KASHI KHAND ke anusar vishesh mahatw hai. Shuraj Kund me punah shuddh jal se ukta jal thirth ke jirnoddhar ki yojana ko lekar hum sabhi ke sahayog se shramdan, Dev-Deepawali aadi jan-jagaran ke karyakaram ho rahe hai. Usi kram me aagami 24 April ko BHANU SAPTAMI AUR RAVIVAR parne se ek vishesh parva ki ththi SAMBADITYA ki varshik yatra Suraj Kund ke liye hai. Is awasar par hum sabne Bhagawan SAMBADITYA SURYADEV ka vishesh sringar, pujan-archan, aarati, sajawat aadi ke sath-sath Kashi ke smasta gangha, varuna ke ghato tatha kundo, talabon par dev-deepawali, ganga-aarati, shramdan aur jal sararakshan ke karya se juri sansthaon, vyaktion ka smman samaroh aur sanskritik karykramo ka aayojak kiya gaya hai, jo SURAJ KUND MAHOTSAV ke roop me aayojit hoga. Atah Suraj Kund par hone wale SURAJ KUND MAHOTSAV me aapki upasthiti aur sahayog saadar aamantrit hai.

Tuesday, April 5, 2011

suraj kund ka pracheen kooan






Namaskar mitro, thoda der to zarur hua mujhe aane me lekin is bar aap logo ke liye ek bahot hi acchi khabar laya hu. Aap logo ko jan kar ye harsh hoga ki suraj kund ki khudayi ke dauran hum logo ke ek purana kooan mila, jo dikhne me bahot purana lag raha hai, aur iski tasweer mai aap logo ko de raha hu. Aap ise dekhe aur apni pratikriya wyaqt kare. mujhe aap ki pratikriya ko intazar rahega. Namaskar.

Saturday, February 5, 2011

suryadev mandir


namskar dosto, mai wahi apka sathi Abhishek, aaya hu fir kuch naye aur purane ghatnao ke sath. surya kund mandir ke bare me naya yahi hai ki kund ka nirman kary abhi chal raha hai, aur lagta hai ki jaldi hi pura ho jayega. mai naye photos to nahi le paya hu. but suryadev mandir ka ek photo zaroor aap logo ke sath share karna chahta hu. jise maine kuch hi din pahle liya hai. jaldi hi mai naye photos ke sath aap sub ke samne fir aaunga. tab tak ke liye aapse anumati chahunga. Abhi